top of page
Recent Posts

Main Kya sochta hun

  • Writer: Ravi Kumar Dhawan
    Ravi Kumar Dhawan
  • Nov 3, 2016
  • 1 min read

Kuch door mere sath sath tum ate, to jaan jate ki main kya sochta hun, Thoda bharosa mera gar kia hota, to jaan jate main kya sochta hun, Sath reh kar jo kushi na le paya, Wo sukun akele mein kun dhundta hun, Alag rehne main kya khusi milti hai, Har baat kehne mian kun darta hun , Kash mere dar ko tum samjh pate, fir, kuch door tum sath sath ate , to jaan jate ki main kya sochta hun.... Sab main ho kar bhi akela, Lekin chalta jaye ye jindgi ka mela, Iski moj mian kya khun kya paun, Jo bacha hai sab samet kar le jaun, Ek aks(shadow) ka sath chutata nahin zindgi bhar, Lekin andhere main wo bhi na jane kidhar, Kash in andheron main tum mujhe dhundh pate fir, kuch door tum sath sath ate , to jaan jate ki main kya sochta hun.... Lage hain sabke chehron par chehre Batoon main mithas, hothon par muskan Aur, kehte hain hum sath hain tere Ye sath unka kisi aur ki wajah se hai Hothon par muskan, batoon main mithas kisi aur ki wajah se hai Us wajah ko agar tum jaan jate Fir kuch dur tum sath sath ate, To jaan jate main kya sochta hun.......

Related Posts

See All
main use chhod aya hun..

Main use yun tanhaa chhod ayahun, Bich kisi rastey mein, anjaan logon ke bich, akele chhod aya hu, Shayad Mera intezaar kar rahi hogi wo,...

 
 
 
Ajnabee Dost - 02

in lehron ke sath behta chal jaun, kinare se dur, iske gehrai main kho jaun, na ho koi sath na karun kisi ki khuhahish, sabki nazron se...

 
 
 
Hang-Over

aaj main kuch khas likhta hun, bahut dino bad kuch khas likhta hun, kahun kya tumse tumhari khubsurti ke liye, aaj wo alfaaz dhundta...

 
 
 

Comments


bottom of page