top of page
Recent Posts

Hang-Over

  • Writer: Ravi Kumar Dhawan
    Ravi Kumar Dhawan
  • Nov 3, 2016
  • 1 min read

aaj main kuch khas likhta hun, bahut dino bad kuch khas likhta hun, kahun kya tumse tumhari khubsurti ke liye, aaj wo alfaaz dhundta hun, jese jindgi ho mili, ye hi kehta hun, aaj bahut dino bad kuch khas likhta hun....

use pehli bar dekh kar kya dil main hua,

ek rishte ka sath mere dil ne chuna,

sabse pehle uska chehra dekhne ka aarmaan, ab din raat dekhta hun,

aaj bas usi ke liye, kuch khas likhta hun.

Pehli bar baat ki to dil ko sukun mila,

ehsaas jinda rehne ka, aandaz khush rehne ka mila,

bina kuch bole teri har baat samajhta hun,

aaj bahut dino bad kuch khas likhta hun.

Koi samjhao mujhe ye pyar hai, dosti hai, ye bas ek dhokha,

mere intezaar karne main chuta use kuch kehne ka moka,

ab uske bare main sochna ek gunah manta hun,

jiske liye hai wo, bas use sonpta hun,

aaj aakhri baar uske liye kuch khas likhta hun.

Hamesha ye yaad rahega mujhe, use kya naam deta hun,

na tha wo pyar, na dhokha, ek DOST ki tarah sir aankho par rakhta hun,

Aaj bahut dino baad uske liye kuch khas likhta hun, or dua karta hun ki use ye kabhi pata na chale...

Related Posts

See All
main use chhod aya hun..

Main use yun tanhaa chhod ayahun, Bich kisi rastey mein, anjaan logon ke bich, akele chhod aya hu, Shayad Mera intezaar kar rahi hogi wo,...

 
 
 
Main Kya sochta hun

Kuch door mere sath sath tum ate, to jaan jate ki main kya sochta hun, Thoda bharosa mera gar kia hota, to jaan jate main kya sochta...

 
 
 
Ajnabee Dost - 02

in lehron ke sath behta chal jaun, kinare se dur, iske gehrai main kho jaun, na ho koi sath na karun kisi ki khuhahish, sabki nazron se...

 
 
 

Comments


bottom of page